GOOGLE ADSENSE PE APPLY KARNESE PEHLE DHYAN RAKHE IN 12 BATON KA by prince

04:05:00 0 Comments A+ a-


Hello Bloggers, ham sab jaante he ki Google Adsense hamari blog ko monetize karne ke liye sabse badiya he. Isliye ham sab adsense ki hi ads show karana chahate he. par kabhi kabhi aisa hota he ki hamari adsense application disapprove ho jaata he. Agar ham adsense par apply karne se pehle kuchh main mudde par dhyan rakkhe to hamari adsense application jarur approve hogi.

To chaliye jaan lete he kuchh main mudde ke barime jisse hamari adsense application disapprova na ho...


Privacy Policy
Google AdSense pe approval paane ke liye jo sabse main mudda he wo he aapki website ki Privacy Policy. Agar aapke Blog me koi Privacy Policy nehi he to aapko Google AdSense approval nehi milegi.

Kya he Ye Privacy Policy ? Ye Privacy q itna important he ?
►Privacy policy me ham hamari Blog/Website me ye promise karte he ki ham kabhi v kisi tarah ki Scam/Galat kaam nehi karenge Or ham ek Serious business  kar rahe he. Google jab aapki site ko verify karegi tab ye Privacy policy v check karegi. Isliye hame hamari website ki privacy policy ki ek page banake hamari home page me show karna he. Taki Google aasani se hamari website ki Privacy policy ko check kar seke or uske khilaf action le seke.

*Aapki Blog Me Ek Privacy Policy Page Hona Jaruri He.

About Us page
Google ye v check karta he ki hamari Blog/Website kiske nampe he or wo kya karte he. Isliye hame hamari Blog Me ek About Us ka page show karna he.

 Is about us page me me hame hamari Blog/Website or Blog/Website ki owner ke barime batana parti he. Is page se google confirm kar lete he ki hamari website me kon kon kaam kar rahe he. Isliye hamari website me ek About us page hona bohot jaruri he.


Contact Us page
Privacy Policy, About us ki tarah hi bohot important he contact us page. Contact us page me hame ye batani parti he ki hamari visitor hamse kaise sampark kar paayegi. Or google ye v check karta he ki aapne jis Gmail id se adsense pe apply kiya he wo wahape he ya nehi.

Contact us page website me lagane se ye confirm ho jaata he ki ham ek serious business kar rahe he. Or isme koi v scam kaam nehi hota he. Isliye aapni sahi sahi details deker ek Contact us page banake hame aapni website ki home page pe show karnai parti he.

Main mudda ye he ki Google adsense pe approval paane ke liye hame aapni website pe kamsekam About us, Contact us, Privacy policy ye 3 pages hona chahiye. nehito Adsense approval nehi milegi.

Name / Email Verification
Adsense ke liye apply karne se pehle ye check kar lena bohot jaruri he ki aap jis email id se apply kar rahe ho wo aapki About us or contact us page me he ya nehi. Aap jis payee nam ke adsense account bana rahe ho uska nam sahi sahi aapki about us or contact us page me he ya nehi.

Q ki Google ye jarur check karega ki aapki adsense application pe bataya gaya details aapki website se match karta he nehi.

Age Verification
Dhyan raakkhe ki 18 saal ke kam umar me aap adsense se paisa nehi kaama sekte ho. Ye rule India pe he. Isliye aapko aapni age google pe verify kar lena chahiye.

Aap jab aapna Gmail id banayenge tab wahape aapni Birthday select karneki ek option aati he. Aapko wahape aapni sahi Birthday select karna he. Isse google paata kar legi ki aap adsense ke liye eligible he ye nehi.

Design
Adsense ke liye apply karne se pehle aapni website ki thoda design aachha kar lena chahiye. Q ki adsense first step approval paane ke baad google aapko ad code lagane kahange. Or agar aapki website me ad code lagane ki jagah hi na ho to google aapko kaise approval de sekte he.

Isliye aapni website ki design pe thoda dhyan dena bohot jaruri he. Website ki design agar aachhi na ho to aapki jyada kamai v nehi hogi.

Navigation Bar
Aapni website ki navigation bar me lagaye gaaye content me sahi sahi link lagaya gaya ki nehi ye check kar lena bohot jaruri he. Q ki agar aap aapni website ki navigation bar me aapni about us, contact us, or privacy policy pages ka link add nehi karoge to google aapki site ko verify nehi kar paayegi or aapki adsense application ko disapprove kar degi. Isliye navigation bar me aapni pages ki sahi sahi link daaliye.

Providing Value
Agar aapki webnsite me kuchh aisa article he jisse bohot saare logoko madat milte he or sab log aapki website ko aachhe mante he to Google aise website ko hamesha swagat karte he. Isliye hamesha aapni website me aisi content rakhni chahiye jisse logoki help ho.

Kisibhi tarah ki illegal content ko google hate karte he. Jeseki Hacking process, Ad*lt content etc. Aise website ko google approve nehi karte he.

Number of Posts
Google adsense pe apply karne se pehle kuchh article aapni website me likhna bohot jaruri he. Aisa na ho ki aap ek v article nehi likhe ho or chale gaaye ho adsense pe apply karne ke liye.

Isliye hamesha kamsekam 10 article likhne ke baad google adsense ke apply karna chahiye. Taki google aapki website ko aachhi tarah se verify kar paaye ki aapki website ki topic kiya he.

Other Ad Network
Google adsense pe apply karne se pehle ye check akr lijiye ki aapne kisi dusre ad network ka ads to nehi lagake raakkhe he. Q ki adsense ki policies dusre ad network se bohot aalakh he. Isliye google dusre ad network ke saath kaam nehi kar paate he.

Isliye hamesha adsense pe apply karne se pehle aapni website ko ad free rakhne chahiye.

Paid Traffic
Agar aap kisi jagah se Traffic kahrid lete he to aapki website ko adsense approval nehi milegi. Q ki google ka ye manna he ki agar aap paid traffic se aapni website ko chalaoge to google aapni advertiser se thikthak rishta nehi raakh paayegi.

Google hamesha pehle aapni advertiser pe dhyan deta he fir publisher pe. Isliye paid traffic wale website se adsense pe apply na kare to behta rahega.